Search This Blog

Saturday 30 July 2011

a cute poem ever for the inspiration...



Kal shaam kuch ajeeb thi…
Aur aaj shaam kuch ajeeb hai..
Kal to bus manzil dikhaye de rahi thi
Aaj to raasta bhi nhi dikha raha hai
Kal to dar tha aaj ke aane ka
Par aaj to dar hai kal ke na aane ka
Kal ki yaadon ko sanjo kar rakhna chahta tha
Par aaj ki yaadon ne use bhi paraya bana diya
Kal to subah thi..
Par aaj andhera hai..
Bus lagta…hai ye ek pal ki yaadein thi…
Aur aaj to yeh kabra sa dikhta hai..
Jahan na koi apna hai na koi paraya..
Bus ek putle ke saman zindagi ruk si gayi hai..
Sirf ek chehra dikhta hai..
Jo kal apna tha..
Par dheere dheere wo bhi paraya hone laga hai..
Na jaane kaun sa khel khel raha hai ye waqt
Aakir kab ye hoga mere saath..
Bus wahi
Kal to subah thi
Par aaj andhera hai..
Na jaane kyo ek pal hasata hai aur ek pal rulata hau ye waqt..
Kabhi  apne saath to kabhi apne se dur karta hai ye waqt
Bus wahi
Kal to subah thi
Par aaj andhera hai…
Bus apne aapse yahi bharosa hai..
Ki kabhi mai is waqt ka ho jaunga..
Par phir bhi mai kahunga
Kal to subah thi
Par aaj andhera hai..
Na jaane kitne armaano se sapne bune the
Saath hi uspe kaam bhi kiya tha
Par ek baar phir se..
Sab mit gaya….aur isliye mai kahunga..
Kal to subah thi
Par aaj andhera hai..
Na jaane kyo ma baap ko dukh dena nhi  chahta..
Par ye kismat mujhe majboor karawaati hai
Aur ab mujhse aur nhi saha jaata
Par mai bhi haar nhi manta
Kyoki mujhe pata hai
Kal to sabah thi..
Par aaj bhi subah hogi…
Rote rote.in ansuo ka bura haal ho gaya hai..
Par mai bhi jaanta hu…
Kal to subah thi
Par aaj bhi subah hogi..
Man ke saagar  me ek kuntha si hoti hai
Par dil yahi kehta hai….abhi ruk..kyoki
Kal subah thi
Aur aaj bhi subah hogi….

                                                          Writer   Vishal(Vishuji)…….

From Shobhna …..

No comments:

Post a Comment